Yun to lagti hai behad asan gazal,
Par kehne wale ki hai ji jaan gazal.
Khana-pina sukh-dukh sona ya jagna,
Apna to hai jine ka saman gaza.
Tulsi ki chaupayi,kabira ki sakhi,
Suuryadas ka pad,meera ki taan gazal.
Fakamaston ki mohabbat mein rehkar bhi,
har ek daur me sada rahi dhanwan gazal.